5 MTR Led Strip ,Led Strip

 

led strip light 

led strip light aaj kal ek fashion ban gaya hai or design ka sourch ban gaya hai ghar me kahi par bhi decoration karne ke liye aaj kal led strip light ka use kiya jata hai

aaj ke article me me is led strip light ke baare me hi baat karunga iske kitne parakr hote hai.

or kaha kaha par use ki jaati hai sabse pehle jaan lete hai inke type led strip ke kitne parakr hote hai led strip ke ese to bhaut saare type hote hai lekin parmukh 4 type hote hai

  • 5050 led strip 
  • 2835 led strip
  • RGB led strip 
  • rope light ledd strip 
  • waterproof strip   



1. 5050 led strip - 



5050 led strip 8 colours me avaible rahi hai red, blue, green, white, warm white, pink, amber, iceblue ye sabhi colours me ledstrip banai jaati hai 5050 strip ki led chip jo hoti hai uski size badi hoti hai 

or isme har 3 bulb par cut karne ke liye option diya huaa hota hai jiske karan aap isko joint karke bada bhi kar sakte hai or cut bhi kar salte hai iski size kji baar karenge to1miter me 60 led chip aati hai iski current capicity 12v hoti hai 

ye bike ya fir caar ki bettery par aasani se chal jaati hai.is pattio ko chipkane ke liye stiker bhi aata hai jiski help se aap isko kahi par bhi chipka bhi sakte hai 



2. 2835 led strip - 


is strip ki baat karenge jab to iski khas baat  ye he ki iska brightness bhaut hi accha hota hai iske 1 miter me 120 chip ya fir 160 chip ya fir 240 chip bhi aate hai is vajha se iska brightness bhaut jayada aata hai.

ye bhi 12 v par kaam karni hai bike ya car ki bettery par aasani se chal jaati haior har 3 bulb par cut karne ke liye option diya huaa hoyta hai iske bulb ki size 5050 se choti hoti hai.

2538 is type ki led strip light profile patti me bhi lagai jaati hai  profile patti log farniture me lagate hai jis karan iska look bhaut hi accha aata hai.

isko kahi par bhi chipkane ke liye piche stick aata hai jisse aap isko kahi par bhi chikpa sakte hai 

 



3. RGB strip light -



rgb iske naam se hi pata chalta hai ki sab colour mix hai isme ye strip multi colour me chalu hoti hai is ek ki strip me sabhi colour chalu hote hai rgb strip ko remote control alag se lagta hai  jis karan isme colours changhe hote hai  rgb strip me total 16 colours milte hai jisko remote ki madad se aap kabhi bhi colours change kar sakte hai ye bhi strip 12v par hi chalti hai or aage vaali dono strip ki tarah hi ye bhi kahi par bhi chipka sakte hai 

 



4. rope light -



 rope light bhi inke jesi hi kaam karti hai lekin ye12v par nahi chalti ye direct 220v par chalti hai iske liye alag se ek chota sa chokw aata hai vo aapko lagana padta hai is strip ke upar rubber ka cotting aata hai isliye iskp rope light kaha jata hai.

rope light me bhi 3 patern aatte hai 5050 rope light , 2535 rope light,rgb rope light rubber coting me bhi ye 3 type aate hai iska use outdoor ke liye jayada kiya jata hai  



4. waterproof strip 



waterproof naam se hi pata chalta hai ki strip par pani lagne se kuch naho hoga is strip ko is astrip ke upar rubber ki coting aati hai jise ye strip water proof ban jaati hai ye strip aap outside me laga sakte hai 

lekin iske kuch problem bhi hai  is strip ke upar rubber coting hone ke karan iske upar dhul mitti jam jaati hai jisse iske brightness me kami aa jaati hai  

 

led strip light ka upyog kaha par kiya jata hai 

  • isko ghar se decoration ke liye kiya jata hai 
  • ghar ki celling ki design me lagane ke liye use kiya jata hai  
  • out door me lagane ke liya kaam aata hai
  • garden me laga sakte hai aap 
  • or bhi bhaut saari jagho par aap iski sajavat kar sakte hai 

 

led strip kesi kharidhe

  • led strip ki quality acchi honi chahiye 
  • 1 miter me kam se kam 60 led to hone hi chahiye 
  • strip ki quality 3 chip me honi chahiye 
  • strip ki garrenty honi chahiye 
  • 5 meter ki strip ko 5 amps ka driver lagana chahiye 
  • strip ka brightness accha hona chahiye 
  • strip hamesha 12 v par hi chalu hoti hai 
  • strip ki lenth agar jayada ho to bhi aap 5 amps ka hi driver lagaye 

 

Led strip  kharidne ke liye tips- 

Led strip kabhi bhi jayada brightness vaali kharidne.Strip aap 5050 kharidne to jayada accha hoga 5 me ya 7 mtr par  ek 5 amps ka driver jarur lagaye.

Jayada badi length me let strip agar lagani hoto aap 7 MTR  ke tukde kar ke hi lagaye



Dosto agar post acchi lagi ho to aap hame comment karke jarur bataye

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Post a Comment

Previous Post Next Post